Ya Ali Madad to you All
This poem of mine is took a long time to complete because it was not clicking; or intuition was not coming out of sixth sense and moreover insight of wisdom was standstill; it was there but stagnant.
Ali, Ali ker bhai, Ali, Ali
Ali, Ali ker Bhai, Ali, Ali
Ooski rehmat say bun jaiga tu Wali
Farishtey tujhe sajde kare(n) gay
Lay jai(n) gay Jannat key gali
Aag key lo dheeme hay teri
Ism-e-Azam key oosey tu hawa day
Dil kay jo tar soye-huey hei(n)
Ism-e-Azam say oon-ney jaga day
Isi-liye to mei(n) kehta hoo(n); Kiya
Ali, Ali ker Bhai Ali, Ali
Ooski rehmat say bun jaiga tu Wali
Farishtey tujhe sajde kare(n) gay
Lay jai(n) gay Jannat key gali
Ali ko tuney jana nahi(n)
Ali ko tuney pehchana nahi(n)
Ali kay bina tera thikana nahi(n)
Phir na kehna kay mei(n) mana nahi(n)
Isi-liye to mei(n) kehta hoo(n); Kiya
Ali Ali Ker bhai Ali Ali
Ooski rehmat say ban jaega tu Wali
Farishtey tujey sajdey karai(n) gay
Lay jaengey tujey jannat key gali
Ali Kay bina Mohammed ko tu samjey ga nahi(n)
Aur na miley ga tujey; Allah kahi(n)
Aa dono mil-ker chaltey hay wahi(n)
Jahan Allah, Mohammed, Ali kay siwa; aur kutch bhee nahi(n)
Isi liye to mei(n) kehta hoo(n); Kiya
Ali Ali Ker Bhai Ali Ali
Ooski Rehmat say bun jaega tu Wali
Farishtey tujey sajde kare(n) gay
Lay Jaengey Jannat key Gali
Ali Ali ker Bhai Ali Ali
Ali Ali ker Bhai Ali Ali
Amir Samji